Rajasthan Balaji Mandir Ka Rahasya: Ek Ladki Ke Saath Hui Hairan Kar Dene Wali Ghatna
Ek school mein padhne wali bachi, jo ki bas 12 saal ki thi, usko ek aisi bimari ho jaati hai jiske baare mein doctors ko bhi nahi pata chal pata. Uske baare mein bas ek hi jagah jaakar pata chal sakta tha, jo Rajasthan mein hai. Aur us mandir ki manyata yeh hai ki jo bhi mandir mein sache mann se ichha mangta hai, uski ichha zarur poori hoti hai. To yeh kahani Rajasthan ke mashhoor Balaji Mandir se judi ek aisi ghatna hai jisne poore parivaar ko sadme mein daal diya tha
Ek Achanak Shuru Hui Bimari Jiska Pata Doctor Bhi Nahi Laga Paaye
India mein aaj bhi aisi kai kahaniyan sunne ko milti hain jo logon ko sochne par majboor kar deti hain. Kuch log unhe sirf faltu mante hain, jabki kuch unhe upari chakkar bhi samajhte hain. Aaj hum aisi hi ek ghatna ke baare mein baat karne wale hain jo kai saal pehle ek 12 saal ki bachi ke saath hui thi.
Yeh kahani Mumbai mein rehne wali ek ladki ki hai. Us samay woh ladki 6th class mein padh rahi thi aur bilkul normal life jee rahi thi. School jaana, doston ke saath khelna aur padhai karna, uski life aur bachon ke jaise hi chal rahi thi.
Lekin ek din uski tabiyat kharab hone lagi. Shuru mein ghar walon ne socha ki normal fever hoga. Dawai di aur usko rest karne diya, lekin uski health mein koi khaas sudhar nahi aaya. Aise dekhte-dekhte 10 se 15 din ho gaye aur ladki ki health kharab hoti ja rahi thi. Ladki kamzor hone lagi thi aur usko ab anxiety hone lagi thi. Usko aisa mehsoos hota tha ki jaise koi uske paas hai aur woh usko dekh kar dar jaati thi. Iske baad family ne usko hospital mein admit karwaya
Ek Ajnabi Ki Salah Ne bacha lii us masom bachi ki jaan
Hospital mein ladki ka poora medical checkup karwaya gaya. Blood tests, scans aur jo bhi tests hote hain, sab kiye gaye. Lekin doctors ko kisi bhi bimari ka pata nahi laga. Saari ki saari reports normal aa rahi thi aur yahan par ladki ki din-pratidin tabiyat kharab ho rahi thi. Doctors ke paas treatment tha, lekin us bimari ki wajah ka pata nahi chal pa raha tha.
Kuch din hospital mein rehne ke baad uski family ko koi bhi sudhar nazar nahi aaya. Ladki ke parents apni beti ki condition dekh kar pareshan ho rahe the. Unhe samajh nahi aa raha tha ki aakhir unki beti ke saath yeh kya ho raha hai.
Isi beech hospital mein ek aisi baat unke saamne aayi jisne is kahani ko ek alag mod de diya
Hospital mein us ladki ke paas wale bed par ek 60 saal ke uncle admit the. Unhone ek din us ladki ka haath dekha aur usi samay uski maa se baat ki.
Unhone kaha ki yeh mamla sirf medical emergency ka nahi hai. Unka kehna tha ki kabhi-kabhi kuch aisi ghatnayein bhi hoti hain jinhe science bhi samajh nahi paaya.
Parents ne pehle is baat ko zyada zaruri nahi samjha. Lekin jab kai din tak ilaaj ke baad bhi health mein koi khaas farq nahi pada, tab un logon ko kisi ne Rajasthan ke prasiddh Balaji Mandir ke baare mein bataya.
Samne Aaya Ek Purana Sach
Pandit ne is ghatna ka lena-dena unke parivaar ki ek purani kahani se kiya. Kai saal pehle parivaar ki ek mahila ki jal kar maut ho gayi thi aur woh suicide us mahila ne khud ki thi. Ab is maut ka actual reason to aaj tak kisi ko nahi pata. Bas itna suna hai ki us mahila par kisi ne jhootha aarop lagaya tha ki unka kisi ladke ke saath affair hai, jabki aisa kuch nahi tha.Unki death ke baad kai tarah ki baatein saamne aayi thi. Kuch logon ka kehna tha ki unke saath anyay hua tha, jabki kuch log ise ek dukhad ghatna mante hain. Time ke saath log us baat ko bhoolne lage.
Lekin achanak se us ladki ko woh mahila dikhne lagi aur us chhoti bachi ko aisa lagta tha ki jaise woh mahila usko maar rahi ho. Yeh baat jab us ladki ne apne maa-baap ko batayi, to woh ekdum se kisi sadme mein chale gaye the, kyunki yeh same kahani pandit ne uska haath dekh kar us ladki ke maa-baap ko pehle hi bata di thi.
Mandir Se Lautne Ke Baad
Balaji Mandir se lautne ke baad ladki ka kehna tha ki woh aurat usko dikhai deti hai, magar woh usko bas baar-baar bolti thi ki mere upar jhootha aarop lagaya gaya hai.
Aur usko kai baar mehsoos hota tha ki koi uske aas-paas maujood hai. Kabhi-kabhi woh raaton mein achanak dar kar uth jaati thi.
Aur mandir ke pandit ne yeh baat parivaar ko pehle hi bata di thi ki kuch din tak aisa hoga. Yeh cheezein dheere-dheere hi theek hoti hain, ekdum se nahi. Isliye unhe thoda sa wait karna hoga.
Yeh sab sunkar ghar walon ki chinta thodi kam hui.
Dheere-Dheere Halaat Badalne Lage
Time ke saath ek aur hairan kar dene wali baat saamne aayi.
Jis ladki ki health itne din tak theek nahi ho rahi thi, usmein ab aaram shuru ho gaya. Uski health ab theek hone lagi aur woh pehle ki tarah normal life jeene lagi.
Doctors ke paas bhi is cheez ki koi knowledge nahi thi. Uske parents aaj bhi is hadse ko bhool nahi paaye hain.
Kya Yeh Kahani Sach Thi???
Is kahani ko lekar logon ki alag-alag rai hai.
Kuch log kehte hain ki yeh health aur mentality ka natija tha. Kuch log ise pooja aur dharam ke naam se jodkar dekhte hain.
Aur iska jawab shayad aaj bhi kisi ke paas nahi hai.
Lekin itna zaroor hai ki yeh ghatna us family ke liye lifetime na bhoolne wali kahani hai.




Comments
Post a Comment