Khooni Safar
Arjun Ka Bachpan
Ek bachcha, jo doosre bachchon jaisa bilkul nahi tha. Uski family badi nahi thi. Poore ghar mein bas teen log the: uski maa, uska bhai Vikas aur woh khud. Us bachche ka naam Arjun tha.
Uski maa bahut strict aur controlling thi. Woh hamesha Arjun se ek hi baat kehti thi, "Bahar ke log kharab hote hain, kisi par aasani se bharosa mat karna."
Dheere-dheere yahi baat Arjun ke dimaag mein baith gayi. Woh school toh jaata tha, lekin kabhi kisi se zyada close nahi hua. Na uska koi khaas dost tha, na kisi ke saath koi gehri bonding. Woh zyadatar akela hi rehta tha.
Saal 2000 mein uske pita bhi yeh duniya chhod kar chale gaye. Tab se poori family mein bas teen log reh gaye.
Pehli galti
Ek din farm par kaam ko lekar Arjun aur Vikas ke beech behes ho gayi. Behes dheere-dheere badhti gayi, aur gusse mein Arjun ne Vikas ko dhakka de diya. Usi dhakke se Vikas gir gaya, uske sir par gehri chot lagi, aur khoon behne ki wajah se woh bach nahi paya.
Do din tak Arjun ne sabke saamne normal behave kiya. Lekin baad mein use ehsaas hua ki jo hua tha, woh sirf ek accident nahi tha. Yeh uski zindagi ki pehli galti thi.
Maa Ki Maut Aur Mind Breakdown
Saal 2005 mein Arjun ki maa bhi is duniya mein nahi rahi. Maa ke jaane ke baad woh aur zyada akela rehne laga.
Ab Arjun ne farmhouse par akele rehna shuru kar diya aur ghar ke aadhe se zyada rooms band kar diye. Dheere-dheere reality se uska connection kam hone laga. Kabhi use lagta tha ki uski maa ab bhi uske saath hai. Kabhi woh maa se baatein karta, aur kabhi use aisa lagta ki maa uske paas hi hai aur use apne paas bula rahi hai.
2010 — Log Gayab Hone Lage
Yeh baat 2010 ke aas-paas ki hai. Gaon mein logon ke gayab hone ki khabrein saamne aane lagi. In mein sabse zyada charcha shop owner Khushi ke achanak gayab hone ki thi.
Jaise-jaise police ne investigation shuru ki, baar-baar ek hi naam saamne aane laga: Arjun.
Police ko dheere-dheere samajh aane laga ki yeh sirf normal missing person cases nahi hain. In ghatnaon ke peeche kuch toh chhupa hua hai.
Arjun Ka Farmhouse Aur Police Raid
Shak badhne par police Arjun ke farmhouse pahunchi. Farmhouse bilkul normal nahi tha. Har taraf ajeeb si smell thi, jo jagah ko aur bhi zyada disturbing bana rahi thi. Ek band kamre mein bistar par saaf chadar bichhi thi, aur uske saamne do thaliyan rakhi thi.
Police ne farmhouse ki talashi li aur wahin se Arjun ko giraftaar kar liya.
Interrogation — 4 Murders Ka Confession
Police interrogation ke dauran Arjun shuruaat mein bilkul chup raha. Woh kisi bhi sawaal ka seedha jawab nahi de raha tha.
Lekin kuch der baad usne achanak aisa bayan diya jisne sabko chauka diya:
"Maine 4 logon ko maara hai... jitne mujhe yaad hain."
Phir usne dheere se kaha, "Maa ne kaha tha, bharosa mat karna."
Isi confession ke saath case ka sabse dark aur shocking chapter shuru hua. Arjun Ka Confession
Arjun Ka Confession
1. 1. Vikas (Bhai)
Arjun ne gusse mein Vikas ko dhakka diya tha. Girne ki wajah se Vikas ke sir par gehri chot lagi, aur isi wajah se woh bach nahi paya.
2. Khushi (Shop Owner)
Khushi 45 saal ki thi aur us shop par akeli rehti thi. Arjun hamesha usi ki shop se grocery ka saman leta tha, aur dono ek-doosre se kaafi achhe se baat karte the.
Kabhi-kabhi Khushi use bolti, "Beta, aao, chai pi lo." Kabhi poochti, "Tum itne bade ghar mein akele kaise rehte ho? Tumhe darr nahi lagta?"
Ek baar Khushi ne Arjun se kaha tha, "Tum bhi ghar mein akele rehte ho aur main bhi. Toh tum yahin mere saath rehne lag jao."
Investigation ke time Arjun ne khud police ko bataya ki Khushi ko usse pyaar ho gaya tha, aur Arjun ko Khushi mein apni maa nazar aati thi.
3. Charu
Charu aur Arjun saath mein ek baby ki care karne ki job karte the. Lekin Charu Arjun se pehle wahan kaam karti thi. Jab use kisi emergency ki wajah se apne gaon jaana pada, toh kuch time ke liye Arjun ko uski job de di gayi.
Family ko Arjun ka behaviour theek nahi laga, aur use wahan se hata diya gaya. Kuch time baad Charu wapas aa gayi.
Arjun ko laga ki use job se Charu ki wajah se nikala gaya hai. Lekin aisa nahi tha. Use isliye nikala gaya tha kyunki baby ke saath uska behaviour theek nahi tha aur woh uski achhi tarah care bhi nahi kar pa raha tha.
Bas isi baat par Arjun ko gussa aa gaya. Ek din uski Charu se ladai ho gayi, aur Arjun ne use maarne ka plan bana liya.
Phir woh usi jagah wapas gaya, Charu se milne aur use sorry bolne. Charu ne bhi use maaf kar diya. Lekin Arjun ke dimaag mein kuch aur hi plan chal raha tha. Dono ne dinner par jaane ka decide kiya.
Arjun ke paas isse achha mauka nahi tha. Aur usne Charu ke saath wahi kiya jo pehle do logon ke saath kar chuka tha.
4. Poonam (Sabse Shocking Case)
Poonam ek young ladki thi, Arjun ki hi age ki. Woh Arjun ke padosi mein rehti thi. Dono aksar bahar milte the, achhe dost ban chuke the, aur ek-doosre ko pasand bhi karte the.
Ek din Arjun ne Poonam ko dinner ke liye apne ghar bulaya aur kaha, "Aaj main tumhe apni maa se milwata hoon."
Lekin jab Poonam uske ghar pahunchi, toh wahan Arjun ke alawa koi nahi tha. Is baat ko lekar dono mein behes hone lagi.
Poonam: "Arjun, jab tumhare ghar mein koi nahi hai, toh tumne mujhse jhooth kyun bola ki tum mujhe apni mummy se milwaoge?"
Arjun: "Maa saamne hi toh hai. Dekho, woh tumhe hello bol rahi hai."
Poonam: "Arjun, mujhse jhooth mat bolo!"
Bas dono ke beech behes badhti gayi, aur Arjun ne gusse mein wahi kiya jo woh pehle teen logon ke saath kar chuka tha.
Aakhri Saal
Reports mein likha tha ki Arjun mein kai psychological problems dekhi gayi. Arjun ne investigation ke dauran jo bataya, aur report mein jo likha tha, dono cheezein bahut milti-julti thi, jaise apni maa ko dekhna aur yeh kehna ki "meri maa se milo."
Court ne dono reports dekhi, Arjun ke bayan ko report se match kiya, aur use mental health institute bhej diya.
Conclusion
Arjun ko ek normal serial killer ke roop mein dekhna mushkil hai.
Yeh case ek aise insaan ki kahani batata hai jo bachpan se hi control aur isolation ke mahaul mein bada hua. Waqt ke saath uski mental condition aur zyada bigadti gayi, aur woh dheere-dheere reality se door hota chala gaya.
Yeh ek kaalpanik kahani hai. Isme diye gaye sabhi characters aur events kaalpanik hain, aur kisi real vyakti ya ghatna se iska koi sambandh nahi hai.


Comments
Post a Comment