CHALAVA ( in hindi & hinglish)
Chalava — Jo Dekh Le Woh Bachta Nahi
Ek Khaufnaak Hindi Horror Story
Bihar mein ek aisa bhi gaon hai jaha ka jungle bahut hi ghana hai. Us jungle ka naam logon ne Kaala Baans diya hai, toh log usko isi naam se bolte hain. Aur jungle ka naam Kaala Baans is liye hai kyunki waha ke jo baans hain, kaafi bade aur ghane hote hain. Agar aap waha per dopahar mein bhi jaoge toh aisa lagega ki raat ho rahi hai. Us gaon ke jo bade-bujurg hain unka kehna yeh bhi tha ki us jungle mein raat ko kabhi nahi jaana chahiye kyunki us jungle ke baare mein kaha jaata hai ki waha per Chalava rehta hai. Yeh Chalava koi normal nahi tha, yeh jis insaan ko dekh liya phir bilkul same uske jaisa banne ki shakti bhi thi uske paas, matlab bilkul same awaaz, roop, sab kuch asli. Aur yeh bhi kaha jaata hai ki jo bhi us Chalava ko dekh le woh bacha nahi.
Paanch Dosto Ka Adventure
Yeh kahani hai us gaon aur 5 dosto ki jo waha per ghoomne gaye the aur un logo ko yeh bas ek kahaniyan hi lagti thi. Sabhi college ke last year mein the, sabko adventure karne ka bahut shauk tha toh ab un paanchon dosto ne decide kiya Kaala Baans jungle jaane ka. Ab usme teen ladke aur do ladkiyan thi — ek Rahul, doosra Manoj, teesra Dinesh aur ladkiyon mein Sunita aur Priya thi. In sabne plan banaya ki hum waha per chalenge aur camping karenge, YouTube ke liye video banayenge jo viral ho jayegi, phir iski wajah se log bhi humko jaanne lagenge, aisa un logo ne socha. But unko kismat mein aisa likha tha, kyunki jaha woh jaa rahe the woh koi aam jagah nahi thi. Aur jab in logo ne plan banaya woh raat bhi koi normal nahi thi — amavasya ki raat thi.
Dinesh Ka Gayab Hona
Ab shaam hote hi woh us jungle mein ghuse. Ab un logo ne activity karni start kar di jaise campfire jalayi aur masti karne lage. Ab Dinesh ko toilet aaya aur Dinesh toilet karne ke liye thodi si door gaya toh in logo ne dekha toh woh wapas hi nahi aaya tha. Pehle sabne wait kiya lekin woh nahi aaya toh sab torch lekar kuch door jaake dhoondhne lage. Dinesh unko kuch door mila lekin bilkul seedha khada aur uski aankhein bhi bilkul khaali thi, jaise woh kisi ke kabze mein ho. Manoj ne poocha "Dinesh, kya hua?" toh koi jawab nahi aaya. Ab jaise hi Manoj ne uski side dekha toh uski aankhon mein kuch aisa tha jo kisi ne pehle kabhi nahi dekha, uski aankh mein alag sa kaala pan tha.
Do Dosto Ki Maut
Thodi der baad hi sabne notice kiya ki jungle ke andar se hi unke saamne se kuch chalava type ka nikla jo safed kapdon mein tha aur dekhte-dekhte woh un paancho ke saamne aa gaya. Ab Priya, Rahul aur Sunita ne turant apni aankhein band kar li lekin Manoj aur Dinesh usko dekhte rahe aur Chalava ne apna asli roop le liya. Thodi der baad woh teen log dekhte hain ki Manoj aur Dinesh dono zameen par gire hue hain aur dono dead ho chuke hain, unki saansein nahi chal rahi aur chehre par kuch alag se hi nishan hai. Woh log waha se bhaag gaye lekin next morning un logo ne police ko bulaya. Police aayi aur police ne apni report mein death ka reason heart attack bata kar case close kar diya. Lekin yeh teeno dost jaante the ki yeh baat bilkul sach nahi hai.
Sach Ki Talaash
Sunita ab is baat se sabse zyada dukhi thi kyunki Dinesh aur Manoj uske bachpan ke dost the. Usne yeh baat maanne se inkaar kar diya ki unki death heart attack se hui hai. Ab woh kuch din baad wapas usi gaon gayi, waha se usne logon se poochna shuru kiya Kaala Baans jungle ka raaz kya hai, lekin iske baare mein koi Sunita se baat karna nahi chahta tha. Lekin aise hi poochte-poochte ek din usko ek baba mile jo us gaon mein kaafi time se rehte the, unko gaon wale Ramcharan Baba ke naam se bhi jaante the.
Ramcharan Baba Ka Raaz
Ab Sunita ne yeh baat Rahul aur Priya ko bataayi toh ab teeno milkar baba se milne unke ghar par gaye. Baba ne unse kaha ki "Yeh tum logo ne achha nahi kiya, us raat jungle mein jaake tumhari wajah se Chalava jaag gaya. Tum logo ne waha jaake bahut badi galti kari, aur sabse badi baat jo tum logo ko uske baare mein nahi pata — ki Chalava jiski shakal dekh lo toh uski tarah banne ki shakti uske andar aa jaati hai. Aur jitna hi zyada tum un logo ko yaad karte ho utna hi Chalava ke liye aasaan hota hai tumhe bhramit karna (confused). Aur jab aap usko samajh kar uska yeh bhram tod dete ho tab uske baad woh apni asli shakal dikhata hai, aur uski sabse badi baat — usko bhi dekh le, uski saansein wahi ruk jaati hain usi time."
Itna sab sunne ke baad Priya ne baba se poocha, "Baba ji, isko khatam karne ka koi raasta hai?" Baba ne unhe bataya ki "Aaj se bahut time pehle bhi ek gaon mein aisa hi hua tha, jab waha ke logon ne isko rok diya tha, lekin woh bhi isko hamesha ke liye khatam nahi kar paaye the. Chalava ek purani, adhoori atma hai. Aisa kaha jaata hai ki kisi zamane mein ek insaan ko gaon wale ne jungle mein zinda hi jala diya tha, kisi galatfehmi ki wajah se, toh isi dukh aur gusse ki wajah se woh insaan Chalava ban gaya tha. Uska gussa itna zyada hai ki woh aaj tak bhi shaant nahi hua hai."
Ab teeno ne baba se poocha ki "Baba, koi toh raasta hoga jisse woh shaant ho sake?" Baba ne bataya, "Iske rukne ka bas ek hi tarika hai — uski asli pehchaan wapas dena usko, woh asli naam jo saalon pehle mit gaya hai. Agar koi us jagah jaaye jaha use jalaya gaya tha, aur uska naam pukare, aur us jagah agni-havan kare, aur sacchi shraddha ke saath, na ki darr ke saath, toh uski atma ko shanti mil sakti hai."
Aisa bataya baba ne. Rahul ne poocha, "Lekin baba, uska naam humko kaise pata chalega?" Baba ne apne paas ek phata-purana kagaz nikala, aur usme jo naam likha tha, woh itne time se kisi ne apni zubaan par nahi liya tha — naam tha Bhairo.
Poornima Ki Raat
Teeno dosto ne yeh decide kiya ki woh yeh kaam karenge apne dosto ke liye aur baaki logon ke liye bhi, taaki baaki woh kisi ko nuksaan na pahunchaaye aaj ke baad. Ab unke paas amavasya ki raat ka wait karne jitna time hi nahi tha. Phir baba ne idea diya — "Tum yeh sab poornima ki raat bhi kar sakte ho kyunki us raat Chalava kamzor ho jaata hai."
Ab poornima ki raat teeno dost aur Ramcharan Baba ek saath milkar Kaala Baans jungle mein gaye aur apne saath havan karne ki samagri bhi le kar gaye. Havan shuru karne se pehle baba ne teeno se ek baat boli ki "Agni jalate hi apni aankhein zameen ki taraf rakhna chahiye, kuch bhi ho jaaye, apni aankhein upar mat uthana, chahe koi kitni bhi awaaz aaye."
Ab jaise hi unhone agni jalayi jungle mein hawa achanak tez ho gayi, patte zor se hilne lage aur ek awaaz aane lagi jaise koi bahut tez se chilla raha ho.
Sunita ne havan mein ghee dala aur baba ne jo mantra sikhaya tha usko dohraya. Priya ne apni aankhein zameen par rakhi aur zor se pukara — "Bhairo... hum tumhe pehchante hain. Tumhare saath jo hua woh galat tha. Hum maafi maangte hain us galti ke liye jo humare purvajo ne ki thi. Ab shaant ho jao."
Bhairo ki awaaz ek pal ke liye toh aur tez ho gayi, jaise woh kisi baat se gussa ho, lekin phir dhire-dhire awaaz kam hone lagi, aisa lag raha tha ki jaise woh kamzor ho raha hai. Ab teeno ne dekha jo havan hai uski agni neeli hone lagi, aur ek pal ke liye teeno ne — bina dekhe, sirf mehsoos kiya — jaise jungle mein kuch bahut bhaari cheez uthkar chali gayi ho aur hawa mein ghul gayi. Phir dhire-dhire sab shaant ho gaya. Hawa bhi ruk gayi, patte hilna band ho gaye aur jungle mein jo shor tha woh sab shaant ho gaya, aisa laga jaise koi sukoon mila.
Jungle Ka Naya Sawera
Ramcharan Baba ne kaha, "Ho gaya. Ab Bhairo ko uska naam mil gaya, aur usko shanti bhi mil gayi. Ab woh is jungle mein nahi hai." Agli subah gaon ke log dekhte hain ki Kaala Baans jungle mein andar tak dhoop aa rahi thi.
Rahul, Sunita aur Priya ab apne dost Dinesh aur Manoj ki yaadein lekar apne-apne ghar chale gaye lekin unhone ek doosre se vaada kiya tha ki yeh kahani aur logon ko bhi sunayenge, jo bhi kabhi adventure ke naam par aisi kisi bhi jungle mein amavasya ki raat mein na jaaye. Aaj bhi us gaon ke log apne bachon se bolte hain — "Tumko koi awaaz de jo tumko lag rahi ho ki yeh kisi apne ki hai, lekin woh tumhare saath tha hi nahi, toh kuch bhi ho jaaye, peeche mudke mat dekhna, apni aankhein band kar lena bas — aur kuch cheezon ko na dekha jaaye toh woh hi achha hota hai."
Agar aapko ye kahani pasand aayi toh COMICDARKFILE ke WhatsApp Channel ko join karna na bhoolein.
Comments
Post a Comment