Sukesh Chandrashekar: India Ka Sabse Bada Jail Conman
Ek Hairan Kar Dene Wala India Ka Sacha Crime Case
Waise yeh baat hairan karne wali toh sabke liye hai ki jo itne saal se jail mein band hai, woh jail ke andar se 200 crore rupaye ka scam kaise kar sakta hai, kisi Bollywood actress ko itne mehnge mehnge gift kaise bhej sakta hai, aur yahan tak ki khud ko kabhi Jayalalithaa ka bhatija ya khud ko Amit Shah ke office ka officer bataata hai. Main aapka doubt pehle hi clear kar doon, yeh koi Bollywood movie ki kahani nahi hai, yeh ek dum sach mein hua hai, aur kahin nahi, yeh baat hamare hi desh India ki hai. Yeh kahani hai Sukesh Chandrashekhar ki. Aaj jaanenge hum ki usne jail ke andar rehte rehte bhi kaise itna bada scam kiya.
Bachpan Aur Shuruaat
Sukesh Chandrashekhar ko bachpan se hi luxury life ka shauk tha, but woh ek middle class family mein paida hua. Unka ghar Bengaluru mein tha, uske papa ka naam Vijayan Chandrashekhar tha aur uske papa contractor the. Sukesh ne apni padhai bhi 10th ke baad hi chhod di thi, aur usne logo ke saath scam karne ka kaam bahut chhoti umar mein hi start kar diya tha. Saal 2007 mein, ED ki chargesheet ke mutabik, usne Bengaluru ke ek insaan se 1.5 crore rupaye isliye le liye ki wo uski zameen Bangalore Development Authority se acquire karwa dega. Yeh uska pehla bada scam mana jaata hai. Isi daur mein usne khud ko Karnataka ke politician Karunakar Reddy ka beta bataa kar bhi logo ko theka laga diya, aur luxury cars bechne ke naam par bhi fraud kiya.
Yeh baat saal 2010 ki hai, uske papa aur usne milkar ek dealer ko thaga tha jiska kaam kitchen equipment ka tha, lekin jab unko police ne pakad liya, us din ke baad se hi uska naam police records mein aane laga. Bas aise hi uski life chalti rahi, kabhi bahar toh kabhi jail mein. Aise hi jail mein uski mulakaat ek ladki se hui, Leena, jo ek actress aur dentist bhi thi. Sukesh ne apna naam usko Balaji bataya, lekin usne uske saath zyada der tak rishta nahi rakha, kuch mahine baad gayab ho gaya. Wahan se phir paanch mahine baad dono dobara mile, jab unhone jail se bahar nikal kar shaadi kari aur Bengaluru mein rehne lage.
Phir uske baad 2013-2014 ke beech mein dono Mumbai ke Goregaon mein shift ho gaye. Yahin se usne apni Bollywood mein entry li aur apne sabse bade scam ki shuruaat bhi ki. Yeh baat 2017 ki hai, jab Sukesh ko election commission ke officer ko ghoos dene ke case mein giraftar kar liya. Report ke hisaab se usne TTV Dinakaran ke kehne par AIADMK party ko unka do pattiyon wala symbol VK Sasikala ke group ko dilwane ka plan banaya tha, lekin woh pakda gaya aur usko Tihar jail bhej diya.
Jail Ke Andar Se Poora Network
Yeh sunne mein aap logo ko thoda ajeeb lagega, lekin Sukesh ne Tihar jail mein rehte rehte bhi apna network pure jail mein bicha diya tha. Reports ke hisaab se jail officer ne aisa bataya ki Sukesh ne 15 din ke andar hi senior officer ko 50 lakh rupaye aur junior staff ko 10-10 lakh rupaye tak ki ghoos di thi. Investigation mein yeh bhi pata chala ki usko jail ke andar hi poora barrack diya tha, aur Sukesh ko jail superintendent ka office bhi use karne diya jaata tha, aur yahan tak ki jail ke andar bhi uski suvidha ke liye usko TV aur AC dee rakhe the.
Ab Sukesh ne jail mein rehte rehte hi Hushed naam ki app se fake mobile number banaye, aur uske use se Telegram aur WhatsApp jaise app ka use karta tha, aur apne aap ko kabhi sarkari officer bataata, kabhi khud ko law secretary ya kabhi Karnataka ke CM BS Yediyurappa ka secretary ban kar baat karta. Yeh sab kaam woh jail ke andar se hi karta tha, usne sab kuch jail ke andar hi kar rakha tha, wahan par ek control room bana rakha tha jahan se call karta aur documents bhejta tha. Waise yeh baat hairan karne wali hai ki ek normal sa insaan jail ke andar se bhi aisa kuch kar sakta hai.
Jacqueline Fernandez Aur Bollywood Connection
Sukesh ko zyada log tab jaanne lage jab uska naam Bollywood actress Jacqueline Fernandez ke saath aaya. December 2020 mein Sukesh ne Jacqueline se baat karne ki koshish kari, khud ko uska fan bataate hue, starting mein usne apna naam Shekhar bataya tha, aur do mahine tak Jacqueline ne koi jawab nahi diya. Isi beech Sukesh ki mulaqaat ek former TV anchor se hui, jo 2017-2018 se Sukesh ke saath touch mein thi, phir usne Shaan Muttathil se baat ki aur khud ko Ministry of Home Affairs ka bada officer bataya aur usko bola ki woh government mein bahut important insaan hai. Isi tarah ab uski dheere dheere Jacqueline se baat hone lagi, aur usne khud ko Sun TV ka maalik bataya.
ED ki chargesheet ke hisaab se Sukesh ne Jacqueline ko mehnge mehnge perfume, designer bags aur diamond ki jewellery, ek kaale rang ka ghoda aur ek Mini Cooper car bhi gift ki hai. 2021 mein Muttathil ne Jacqueline ko Sukesh ke baare mein sab bataya, uske upar jo ek criminal history wala article hai, woh bhi usko dikhaya, lekin phir bhi yeh sab aise hi continue raha. ED ke officer ke hisaab se Sukesh ne Pinky Irani ko bhi 10 crore rupaye dene ka promise kiya tha.
Isi tarah usne Bollywood mein aur bhi actress ko gift dene ki koshish ki, jaise Nora Fatehi ko usne ek BMW car gift karne ki koshish kari, lekin baad mein wo unke ek relative ko de di. Jacqueline is case mein itni important isliye bani kyunki usko Sukesh ke baare mein sab kuch pata hone ke baad bhi usne uske gift liye.
200 Crore Ka Sabse Bada Scam
Sukesh ka sabse bada aur sabse chaukane wala scam yeh tha, usko kahin se pata chalta hai ki Fortis Healthcare ke promoter rahe Shivinder Singh jail mein band hain money-laundering case mein, toh woh unki wife Aditi Singh se baat karta hai aur unko bolta hai, main government officer baat kar raha hoon, main aapke pati ko case se jamanat dilwa dunga, lekin uske liye 200 crore se zyada rupaye le liye. Ab kaafi time hone ke baad Sukesh Shivinder Singh ko is case se jamanat nahi dilwa paya, toh Aditi Singh ne uske khilaaf 6 August 2021 ko Delhi Police mein complaint kardi, aur Sukesh ko do din baad giraftar kar liya.
Report ke hisaab se Aditi ne apne family ki 10 companies ke through paise transfer kiye the, apne bachon ke assets bech diye aur rishtedaron se udhaar tak liya, aur Sukesh ne saara paisa cash collect kiya aur phir yeh paisa 53 shell companies ke through hawala se ghumaya jaata tha.
Giraftari Aur Aaj Ka Haal
Ab Sukesh ko Tihar jail mein rakha gaya, lekin usne apni jaan ka khatra bataate hue ek plea daali, jiske baad usko Delhi ki Mandoli jail mein shift kar diya, lekin yahan bhi uska tarika change nahi hua.
Report ke hisaab se January 2024 mein Mandoli jail ke andar ek surprise raid mein uske cell se Gucci ki slippers, jiski value 1.5 lakh rupaye bataai gayi, aur mehnge mehnge kapde milte hain, lekin abhi bhi Sukesh ki luxury life khatam nahi hui. Jail mein hone ke baad bhi, jail ke andar se hi usne kayi baar Jacqueline Fernandez aur media ko letter bhi likhe the. Lekin abhi ke liye Sukesh Chandrashekhar Delhi ki Mandoli jail mein band hai, aur Aditi Singh ke 200 crore aur baaki case mein jaanch chal rahi hai. Aur ek baat, yeh sab abhi tak sirf ilzaam hain, aur court mein inhe saabit hona baaki hai, court mein abhi koi bhi case saabit nahi hua hai.
Sukesh Logo Ko Itni Aasani Se Kaise Phasaata Tha
Waise ek baat Sukesh ko lekar aapke dimaag mein bhi aayi hogi ki itne bade bade log, jaise business families aur celebrities, uske scam mein fas kaise jaate the. Toh main aapko bata doon, Sukesh ka confidence hi aisa tha ki log uske scam mein fas jaate the, aur uski sabse achhi baat thi ki woh kabhi bhi jaldbaazi nahi karta tha, sabse pehle trust banata tha, chhoti chhoti baaton se impress karta aur phir dheere dheere apni demands badhata tha.
Usne ek aur cheez notice kiya scam karne mein ki agar logo ka jaldi se bharosa jeetna hai toh khud ko India ka koi bada government officer bataana hoga, toh scam karte time jab bhi Sukesh kisi aur ko bolta ki main government ki side se bada officer ya minister ka karibi bol raha hoon, toh log us par bharosa kar lete the. Teesri baat, usne apna network itna bada bana liya tha ki uske liye alag alag logo ko bhi sambhalna aasaan hi tha. Jail ke andar bhi usne apne aadmi taiyar kar liye the jo uske liye paisa collect karte the, documents taiyar karte aur poora operation chalate the, jaise woh koi company chala raha ho, na ki woh kisi jail mein band ho.
Agar aapko yeh case interesting laga toh COMICDARKFILE ke WhatsApp Channel ko join karna na bhoolein, aur aisi hi sach ghatnaon par aadharit content ke liye judte rahiye.
Yeh article publicly available news reports aur chargesheet details par aadharit hai. Sukesh Chandrashekar par lage sabhi ilzaam abhi court mein vichaardheen hain.
Comments
Post a Comment